Call me : 9891515270

Astrology & Karam Kand Call- 9891515270

Vedspecilist and Astrology centre >>>Pandit. Raghvendra jha<<< Honoured from Bihar & Delhi,Thailland,England,Africa etc...... Astrology Stage Horoscope,Ved ,Havan&Yagya, Karam Kand, Janam Patrika , Kundli making, reading and matching, Palmistry, Vaastu and permanent resolution of all astrological ....

I Am sure your are Totaly saticsfide...........

Contact :9891915270

2010 Free Astrology Horoscope. Aries Horoscope Taurus Horoscope Gemini Horoscope Cancer horoscope Leo horoscope Virgo horoscope Libra horoscope Scorpio horoscope Sagittarius horoscope Capricorn horoscope Aquarius horoscope Pisces horoscope. Mesh, Mesha, Vrishabh, Vrishabha, Mithun, Mithuna, Kark, Karka, Simh, Simha, Kanya, Tula, Vrishcik, Vrishchika, Dhanu, Dhanush, Makar, Makara, Kumbh, Kumbha, Meen, Meena, Rashi, Rasi. Uttara Kalamrita.

Monday, March 22, 2010

Naari tatvam

“Vidya samasta devi bheda,

Istriye samsta sakla jagatsu”

Sakti sang tantra me kaha gya hai => “nari chakre sarvroopam yatikinch jagtigatam

N ch nari sam saurayanm n ch nari sama gatih

Brahmandanaamnantam ch istri dehe sfrutmev ch “




Sabhi vidyao k aadhar bhut stri savroopa bhagwati ki aradhna sampoorn jagat mein aadi kaal se hota raha hai . har purus k liye upasika nari tatv vidhya aur bhog ko pradaan karti hai .ghrina , lajja , bhay, ninda, shok, jaati ,kul t-tha raag k paas ko nast karne wali ,samast bharhmand ko annant shakti pradaan karne istri roopa shakti dharika naari hai , nari sansaarik sarv sidhi t-tha moksh ko pradaan karne wali hai , jaise aagam nigam aur aur purano mein “dash maha vidhya” ya mahavidya naam se sambhodit kiya gya hai, maha bhagwat katha k anusaar daksh prajapati ki putrid sati jo shiv ki ardhangini hui unke savroopon ka varnan kiya gya hai, das maha vidyayon pahla naam “kali” ka kiya jata hai, kali kriya shakti ka prateek hai, jab purus koi dharma karam ka kaam karta hai to patni ko dahine ang bithata hai kyoki wo nari kriya ki utprerika hokar abhisth ko pane mein shayika ho jati hai, kali ya sundry naam se abhihit kriya ki utprerika nari ka gun waise hi hai jaise aakash apne bhitar ki sabhi vastwon se anbhigya rehta hai, isi prakaar nari apne samast guno ko sanjoye rahti hui aparchit rehti hai , prakriti ya purus ki abhinnta se shiv aur shakti ka sanyog ka naam shri krishana parmatm sanjak aur rahda mul prakriti ya bhuwneswri k roop abhivyakat nari parmanand k sath – sath bhautik mein nirlipt hone ka sandesh deti hai isliye pratper shakti hai ,kyoki ankush aur paash iske pramukh aayudh hain, ankush ka kaam purus ko niyantrit karna aur paash bhandhan ya aashakt rakhna nari ka shresth gun hai , lekin yehi jab rudr roop dharan karti hai to jiwo ko dandit bhi karti hai , aisi pratpara shakti yukt grehlaxmi mein lajja , pusti, thusti, kirti, kanti , shama ,daya , buddhi ,aur vilastmika shakti hone k kaaran mangal – amangal dono savroopon se yukt hai, satv – raj- tam- trigun yukt mahalaxmi kahi jane wali nari k saamne purus mahakamesvar hokar khada ho jata hai, kameswar aur kameswri ka bhaw parspar premalaap hai jo solah vash ki avastha se praadhbharwak ho jata hai ,

Kali ,tara , chinmasta ,kamla , bhuvaneswri, shodsi,bagla, dhumawati, matangi, sundry , ye das mahavidya shakti yukt naari purus ki das indriyon ki niyamika hoti hain,,

Sunday, March 21, 2010

DASH MAHA VIDHIYA PRA DURBHAV

Shivpuran UMA SAHINTA k 50ve adhayay k 26.31 shalok tak das mahavidya tak das mahavidya pradubhav ki katha di gyi hai. Ru ru naam ka daitye mahabali putr durg k braha se vardaan pakar vedon ko chura lia. Vedon k lupt ho jane se samast kriyaein nast ho gyi. Achaar vyabhar lupt hone laga . tab devtao ne vedon punarudhaar k liye prathna kiye to devi k sarir se jo deviyaan prakat hui unse aasur prajit hue . devi bhagwat mein das mahavidyaon ka varnan hai , markandey puraan me vidya mahavidya sabdo ka prayog isi sandarbh kiya gya hai .

Saturday, March 20, 2010

DURGAM NAAM DAYTYA HIRNYAKSH K VANSH ME UTPANN HUA THA

DURGAM NAAM DAYTYA HIRNYAKSH K VANSH ME UTPANN HUA THA . DURGAM K PITA KA NAAM “RURU” THA . DURGAM NE DEVTAAO K BAL KO AUR VED KO NAST KARNE KI YOJNA SE HIMALY PAR JAKAR KATHOR TAAP KARNE LAGA .USKE KATHOR TAAP SE PRASANN HO KAR BRAHMA NE USE MANOVAANCHIT VAR MAANGNE KO KAHA TO DURGAM NE BRAHMA SE VEDOON KI MANTR RAASHI KO MAANG LIYA, JIS SE MANAV KA GYAN VISTRIT HONE LAGA . JAAP YAGYA SHRAADH TARPAN KI KRIYA NASTHT HONE LAGI. LOG SAYAN ,BHOJAN, SANAAN , SANDYA KO MAHATAV HIIN SAMJHNE LAGE . SAMAY KA APMAAN HONE LAGA . JIVAN KI PRATEK KRIYA SAMEY SE JURI HOTI HAI

Friday, March 19, 2010

Noo raato k samuh ko navratra kehte hain



Noo raato k samuh ko navratra kehte hain.....


Nvarsh k prarambh mein noo devio ke pooja ka vidhaan sastro mein kaha gya hai, vaidik grantho me “vasante agnim aadhatea “ katayaayan ka sutr hai, vasant ritu mein agni ka aadhna arthaat agni mein hawan karein, durga saptsati mein markandey rishi ne kaha hai – “bali pradane poojayaamginikaarye mahotsave” arthaat devi ki prasannta k liye agni mein havan karke balidaan karein, bali kisi jiv kin a hokar sawam ko yachak devi ko samrpit karta hai, samrpan hi bali hai, purodaas ka bali ya dahi –kali urad ka athwa kela, kushyaad, naariyel ka bali deene ka vidhaan hai, chaag sabd ahankaar ka paryay hai, ahankaar ko nast karne k bajaye jihwa h loloop logo ne bakri k bacche ko <"chaagar"> ko bali de dete hain, jis se manusye ka ahankaar nasht hone k bajaye ahankaar ko badha deta hai, devi ya devta ka bhojan ahankaar hai , atah manushey apne ahankaar ka bali devein,

“ ma hinsyaat bhutani”

Kisi prani ki hatya na karein yeh vaidik sidhyaant hai ,

Vaidiki hinsa hinsa na bhavti => is sutr ki vyakhya karte hue shri Krishna ne gita mein arjun ko updesh diye hain, - hey mahabaaho ! manushy apna tan, man ,dhan sabkuch mujhme sthapit kar deta hai, to uske dwara kiye tyaag ki bhaawna ko hinsa nahi kahi gyi hai ,samapan ka arth hai “n karm likhyete narh “

Manusey karm ka karta maan leta hai too dosh ka hona sawbhavik hai , lekin jab mujhko saup deta hai to sawem ke kartapan ka aabhash nahi hota hai , kartapan k aabhas na hone se vah mooh , maya , lobh , trishna ka tyaag kar deta hai . krodh maya trishna ahankaar ki nivriti vadik ya saatviki pooja hai, athh nav savayatsar k prarambh mein inhi cheh <6> durguron ki nivriti k liye manusey devi ki aradhna karta hai , kyuki devi ki savari bagh ahankaar ka prateek hai t-tha mahisasur durjanta ka prateek hai , apne ahankaar aur apne burai par vijayprapti k liye naye samvat ka navratr vrat karna chhiye ,

Friday, March 12, 2010

Kahin jaane ke liye kya vichar kare !


yatra ya shubh kaam me Ardhparhara , kalvela , bhdrakaran , vayakti gapaat aur vedhiriti yog , masaant , maasadhi , san karanti , esn sab ko shubh karya ya yatra me varjit karna chahiye !

Varhaspatti aur shukra ke schin hone ya asth rahne par , chay aur adhimaas me tathagadannt lagan , tithi , Nakshtra me vivaahid shubh karam varjit hai ! jab shulk Pakshi chandrmaas me 2 sankarnti hoto "chay" maas aur 2 purnmaasi 1 hi saurbash ya mal maas kaha jata hai !

Thursday, March 11, 2010

Bhartiyo ke Naya Varsh


Sampurn Varsh me 12 mass hote hai ! 12 mahino me 24 Ekadashi hote hai ! kisi saal Adhik mass hone par 2 badh jati hai, aur es parkar 26 Ekadashiyo ke Naam es Prakar hai :-


Utpaana , Mokshda , Safala , Puyda , Sahthtila , jyaa , Vijya , Aamlki , Paapmocchni , Kamda , varuthini , Mohini , apra , Nirjla , yogini , deshyani , putda , pavitrata , ajaa , parivartini , indira , pasaankuhsa , Rama devthani ye Karmsha Bhartiy mass Agrahan se prarambh hokar kartik mass naam ginaye gaye hai !


padmini aur parma ye do adhik mass me hoti hai ! es varsh smvath 2067 me vesaakh ka mass adhik maas ka hoga!

cheth shubhal pratipda se vikarmi smvat chaalu hota hai , jo bhartiyo ke naye varsh ka prambh din hota hai ! log apne easth ki aaradhna se saal ka Sawagat karte hai!!

Wednesday, March 10, 2010

Raatri Arhda parhara Vichar


Din ke Bhaanti Raat me bhi phla Ardha parhra jo din hai usi ka hota hai, Baad me usse 5 vaan grah ka Ardha parhra hota hai !

For Example :-
Sunday ka pahalaBhag Suriya ka , II-Shukurr , III- Bhudh, IV-chandra , V-Sani esi Prakar sabhi Dino ki gannana kari chahiye !


Vyabhar me teen Ghante ka ek prahar hai toh uska 1/2 - 1:30 ghanta Ardh parhara ka man hota hai.

Tuesday, March 9, 2010

ARDH PRAHRA VICHAR




Ek Din me 4 Prahar hote hai. 4prahaon ko kar ke 8 Ardh prahar din me hota hai. Jise Peatyek din ke hisab se shubh karyon me Tyafya hai. kisi bhi dinka pahala praher usi din ka hota hai. uske bad 6,2, phir usase 6-3 ka swami sani-Rahu ka bhag hota hai. jise Rahu kal Daskshin me marya hai. uttar me Ardhprahara ka vichar hota hai.

Monday, March 8, 2010

DISHA SHULDOSH NIVAARAN



Yadi kahi yatra karna Aavsyak hi ho toh Ninm vastuoo ko Sath Rkhane se yatra ke Disha shul Dosh ka Nivaran ho jata hai.


Jese :-
Sunday ko Pan ke patte -1 pata apne pass Rkhale.
Monday ko chandan.
Tuesday ko Mitti.
Wednesday me koi pushp.
Thursday me Dahi khakar.
Friday me Ghee khakar.
Saturday me Til ke Dhaane khakar.

Yatra karne se Disha Shul ka Nivaran ho jata hai.

Sunday, March 7, 2010

Yatra Disa Shul Vichar

Purv me:- Jestha Mul , Sahni, shom var or Nakshartra ka dosh hota hai
Dashin me:-Ashvini ,sharvan se revati tak 6 Naksharter or Guruvar ka disha shul hai.
Paschim me:- Rohani,pusya nakshartra Sunday or Friday disha shul hota hai.
Uttar me:- Uttar faal gunni hasth nakshartar tuesday& wednesday ka disha shul hota hai.