
“Vidya samasta devi bheda,
Istriye samsta sakla jagatsu”
Sakti sang tantra me kaha gya hai => “nari chakre sarvroopam yatikinch jagtigatam
N ch nari sam saurayanm n ch nari sama gatih
Brahmandanaamnantam ch istri dehe sfrutmev ch “
Sabhi vidyao k aadhar bhut stri savroopa bhagwati ki aradhna sampoorn jagat mein aadi kaal se hota raha hai . har purus k liye upasika nari tatv vidhya aur bhog ko pradaan karti hai .ghrina , lajja , bhay, ninda, shok, jaati ,kul t-tha raag k paas ko nast karne wali ,samast bharhmand ko annant shakti pradaan karne istri roopa shakti dharika naari hai , nari sansaarik sarv sidhi t-tha moksh ko pradaan karne wali hai , jaise aagam nigam aur aur purano mein “dash maha vidhya” ya mahavidya naam se sambhodit kiya gya hai, maha bhagwat katha k anusaar daksh prajapati ki putrid sati jo shiv ki ardhangini hui unke savroopon ka varnan kiya gya hai, das maha vidyayon pahla naam “kali” ka kiya jata hai, kali kriya shakti ka prateek hai, jab purus koi dharma karam ka kaam karta hai to patni ko dahine ang bithata hai kyoki wo nari kriya ki utprerika hokar abhisth ko pane mein shayika ho jati hai, kali ya sundry naam se abhihit kriya ki utprerika nari ka gun waise hi hai jaise aakash apne bhitar ki sabhi vastwon se anbhigya rehta hai, isi prakaar nari apne samast guno ko sanjoye rahti hui aparchit rehti hai , prakriti ya purus ki abhinnta se shiv aur shakti ka sanyog ka naam shri krishana parmatm sanjak aur rahda mul prakriti ya bhuwneswri k roop abhivyakat nari parmanand k sath – sath bhautik mein nirlipt hone ka sandesh deti hai isliye pratper shakti hai ,kyoki ankush aur paash iske pramukh aayudh hain, ankush ka kaam purus ko niyantrit karna aur paash
Kali ,tara , chinmasta ,kamla , bhuvaneswri, shodsi,bagla, dhumawati, matangi, sundry , ye das mahavidya shakti yukt naari purus ki das indriyon ki niyamika hoti hain,,